Echoing A Shadow
Podcast door Soniya Kanchan
Deze podcast is gratis te beluisteren op alle podcastspelers en de Podimo-app zonder abonnement.
Alle afleveringen
10 afleveringenChalo aaj kuch kahaniya bunnte hai Alfaaz hai, ehsaas hai Phir Uss mulaakat mein bhi kuch baat hai Har zikar mein ek raaz Woh kal bhi mera aaj hai Sach ki toh sirf yeh siyahi hi ek gawaah hai Kya yeh iss jaam ka kamal hai? Aaj bas unn kahaniyo k naam hai.
Yeh raat ka sama hai Jo tujh se juda hai Khamoshi hai magar Tere mere beech ki Woh baatien sunai de rahi Na bhule hai hum tujhe Na bhula yeh raasta hai Sheher hai yeh tera Par mujhe pukar raha Tu jo nhi Phir woh baat kahan Raahien Wahi sahi Jaam toh naya hai Na bhule hai hum tujhe Na bhula sama hai
Rahat kahan, chahat kahan Dil mein dhakan hai magar ibadat kahan Zinda hai lekin jeete nahi Sochte hai lekin karte nahi Woh junoon kahan, woh sukoon kahan Jasbaat hai magar woh jazbaa kahan
Shaam se thodi Zara guftagu kr lijiye Apne ishq ka kya pata Woh raaz khol de Unn khatto ka woh Izhaar kr de Boli thi hume Har roz likhti rahi Uss ikraar mein Kabhi peeli hui Kabhi gulabi hui Har rang se hume Lubhati rhi Uske dard pe bhi zara Gaur farmaiye Milke bhi woh usse Mil na saki Woh dhal si gayi Aur woh theher na saka Boli thi hume Har din ki ek nayi shaam hai Ek naya izhaar hai Ek naya inkaar hai
Kya kahe Kya na kahe Iss soch mein hi reh gaye Jo lavz thee zabaan mein Woh muskurahaton mein kho gaye Sheher bhi jo tham gaya Unn palon mein kuch toh baat thi Raakh ban k reh gayi Dil mein woh jo bhi aag thi Kya kahe Kya na kahe Hosh bhi raha nahi Toh ab Kaagazo mein kaid ki Zakhm se likhi hui Taqdeer ki yeh shayari
Overal beschikbaar
Luister naar Podimo op je telefoon, tablet, computer of auto!
Een universum van audio-entertainment
Duizenden luisterboeken en exclusieve podcasts
Geen advertenties
Verspil geen tijd met het luisteren naar reclameblokken wanneer je luistert naar de exclusieve shows van Podimo.