Lafz

Lafz

Podkast av Soz

Duniya mein jo do chaar logon ne jaana hai mujhe , unhe is baat ka ilm hai ki mujhe Urdu poetry se ishq hai . Main ye ishq aur junoon apna , duniya tak pohochna chaahta hun . Apna hi ek sher yahaan likh raha hun : Tapak rahi hain mere asha'ar se khoon ki boonde'n Kal shaam kisi haadse mein mar gaya hun main Soz . Ig : https://www.instagram.com/abhishek_soz?igsh=bG11dDl1ZDh0azJu Send a voice message :https://podcasters.spotify.com/pod/show/lafz--soz/message Write to me : abhimaurya2508@gmail.com A podcast of serious urdu poetry.

Prøv gratis i 3 dager

99,00 kr / Måned etter prøveperioden.Avslutt når som helst.

Prøv gratis

Alle episoder

49 Episoder
episode Hum jo taareek raahon mein maare gaye artwork
Hum jo taareek raahon mein maare gaye

Faiz ki ye ek historic nazm hai jo unhone Julius aur Ethel Rosenberg ke khutoot se inspire ho kar likhi thi . Translation Aaga Shahid Ali ka hai Source Rekhta hai . Bohot waqt lag gaya kuchh naya post karne mein :( Nadi mein gehre utar kar jaise log Train se phenke hue sikke talaash karte hain Main bhi andar Bohot andar apne Ek gham talaash karta hun Shukriya Soz :)

26. mai 2025 - 1 min
episode Ek Andha Safar Hai Ye artwork
Ek Andha Safar Hai Ye

Ye ek naya stanza kaha tha maine aur priya ne apni aawaaz mein piro diya . Aaj is saal ka aakhiri din hai .. aur ye kitna munaasib hai ye kehna aur mehsoos karna ki YE EK ANDHA SAFAR HI TOH HAI .. Har roz ek bujhte din ko apne badan se utaar kar rakhte jaate hain .. EK ANDHA SAFAR HAI YE KABHI RAAT TOH HONI HAI YE KHEL HAI SAANSON KA YAHAAN MAAT TOH HONI HAI YE JISM KI MITTI BHI EK DIN BIK JAANI HAI ZINDAGI AUR KUCHH BHI NAHIN TERI MERI KAHAANI HAI EK PYAAR KA NAGHMA HAI aawaaz : Priya kashyap bol : Soz Shukriya .

31. des. 2024 - 2 min
episode Yun na mil mujhse khafa ho jaise - Ehsaan Daanish artwork
Yun na mil mujhse khafa ho jaise - Ehsaan Daanish

Aadaab Aaj subah phone scroll karte waqt Ehsaan Danish ki ye ek ghazal mili . Dafatan usko record bhi kar liya .. Yun hi ek random se recitation ki tarah Phir khayaal aaya ki bohot waqt hua Spotify par kuchh upload kiye Aur mujh ko hamesha yahi mehsoos hota raha hai Ki recitations jo yun hi kiye jaate hain Woh dar asal sabse behtar hote hain Khair Meri balcony mein Lily ka ek paudha hai Jis par ek naya phool aaya hai Ilias Babar Aawan ka ek sher yaad aa gaya : Phool kitaabein le jaa tanha rehne de Mera kamra , mera kamra rehne de Bohot ishq Soz

08. nov. 2024 - 2 min
episode Stand with RG Kar artwork
Stand with RG Kar

Ye nazm takreeban ek maheene pehle Kalimpong ki waadiyon mein record ki thi . Kaifi Azmi ki ye nazm duniya ki har ek Abhya ko dedicated hai . UTH MERI JAAN MERE SAATH HI CHALNA HAI TUJHE ishq soz

03. okt. 2024 - 3 min
episode Ye pichhle ishq ki baatein hain - Mohsin Naqvi artwork
Ye pichhle ishq ki baatein hain - Mohsin Naqvi

Mohsin Naqvi deewaano ke shaair hain .. Unki shaayari kisi khushbu ki tarah hai jo gaayab hone ke baad bhi maheeno yaad rehti hai .. Bahar-haal •Yaaqoot ek mehenge patthar ko kehte hain . •Gard aalood - dhool mein lipta hua ya sana hua Apna khayaal rakhiye Ishq Soz

27. juni 2024 - 4 min
Enkelt å finne frem nye favoritter og lett å navigere seg gjennom innholdet i appen
Enkelt å finne frem nye favoritter og lett å navigere seg gjennom innholdet i appen
Liker at det er både Podcaster (godt utvalg) og lydbøker i samme app, pluss at man kan holde Podcaster og lydbøker atskilt i biblioteket.
Bra app. Oversiktlig og ryddig. MYE bra innhold⭐️⭐️⭐️

Prøv gratis i 3 dager

99,00 kr / Måned etter prøveperioden.Avslutt når som helst.

Eksklusive podkaster

Uten reklame

Gratis podkaster

Lydbøker

20 timer i måneden

Prøv gratis

Bare på Podimo

Populære lydbøker