
Digi_insaf
Podcast by Insaf hussain
This is heart melting line when someone special borke heart and the we realise that we brokeup deep inside
Start 60 days free trial
99,00 kr. / month after trial.Cancel anytime.
All episodes
2 episodes
Kyon Ziaan kaar banun, sood framosh rahoon? Fikr-e-farda na karun, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon, Naale bulbul ke sunoon, aur hama tan gosh rahoon, Hamnawa main bhi koi gul hoon ke khamosh rahoon? Jurrat aamoz meri taab-e-sukhan hai mujhko, Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko Hai baja, Shewa-e-tasleem mein mashhoor hain hum Qissa-e-dard sunaate hain ke majboor hain hum Saaz-e-Khamoosh hain, Faryaad se Ma'moor hain hum Naala aata hai agar lab pe to Ma'zuur hain hum Ai Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le, Khu gar-e-hamd se thora sa gila bhi sun le Thi tau maujood azal se hi teri zaat-e-qadim, Phool tha zeb-e-chaman, par na pareshan thi shamim Shart insaaf hai, ai, sahib-e-altaf-e-ameem, Boo-e-gul phailti kis tarah jo hoti na naseem? Hum ko jamee'at-e-Khatir ye Pareshaani thi Warna ummat tere mahboob ki Deewaani thi. Hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzar, Kahin masjood the patther, kahin ma'bood shajar, Khugar-e-paikar-e-mahsoos thi insaan ki nazar, Maanta phir koi un-dekhe Khuda ko kyonkar? Tujhko maalum hai leta tha koi naam tera? Quwwat-e-baazoo-e-Muslim ne kiya Kaam tera! Bas rahe the yahin saljuq bhi, toorani bhi, Ahl-e-cheen cheen mein, Iran mein sasaani bhi, Isi ma'moore mein aabad the Yunaani bhi, Isi duniya mein Yahudi bhi the, Nasraani bhi, Par tere naam pe talwar uthai kis ne, Baat jo bigri huri thi who banaai kis ne? The hameen ek tere ma'rka aaraaon mein! Khushkion mein kabhi ladte, kabhi dariyaon mein, Di azaanen kabhi Europe ke kaleesaaon mein, Kabhi Africa ke tapte hue sahraaon mein. Shaan aankhon mein na jachti thi jahandaaron ki Kalma padhte the hum chaaon me talwaaron ki Hum jo jeete the to jangon ki museebat ke liye Aur marte the tere naam ki Azmat ke liye Thi na kuchh teg zani apni hakumat ke lieye, Sar ba-kaf phirte the kya dahar mein daulat ke lieye? Qaum apni jo zar-o-maal-e-jahan par marti, But faroshi ke iwaz but shikani kyon karti? Tal na sakte the agar jung me Ar jaate the Paaon Sheron ke bhi maidan se ukhad jaate the Tujh se sarkash hua koi to Bigad jaate the Teg kya cheez hai, hum top se lad jaate the Naqsh tauheed ka har dil pe bithaya hum ne, Zer-e-khanjar bhi yeh paigham sunaya hum ne. Tu hi kah de ke ukhada dar-e-Khyber kis ne? Shaher qaiser ka jo tha us ko kiya sar kis ne? Tode makhluq khudawandon ke paikar kis ne? Kaat kar rakh diye kuffaar ke lashkar kis ne? Kis ne thanda kiya Aathish kada-e-Iran ko? Kis ne phir Zinda kiya tazkara-eYazdaan ko? Kaunsi qaum faqat teri talabgar huvi? Aur tere liye zahmate kash-e-paikar huvi Kis ki sahmsheer jahangeer jahandaar huvi? Kis ki takbeer se duniya teri Bedaar huvi? Kis ki haibat se sanam Sahame huve rahte the? Munh ke bal gir ke HuwAllahu Ahad kahte the. Aa gaya ain laraai mein agar waqt-e-namaz, Qibla roo ho ke zamin bos hui qaum-e-Hijaz, Ek hi saf mein khade ho gaye mahmud-o-Ayaz, No koi banda raha aur no koi banda nawaz. Banda-o-sahib-o-muhtaaj-o-ghani ek hue, Teri sarkar mein pahunche tau sabhi ek hue. Mehfil-e-kaun-o-makaan mein sahar-o-shaam phire, Mai-e-tauheed ko lekar sift-e-jam phire. Koh me dasht me lekar tera paigham phire Aur malum hai tujh ko, kabhi nakaam phire? Dasht tau dasht hain, darya bhi na chhore hum ne, Bahr-e-zulmaat mein daura diye ghore hum ne. Safah-e-dahar se baatil ko mitaya hum ne, Nau'-e-insaan ko ghulami se chhuraya hum ne, Tere kaabe ko jabeenon se basaya hum ne, Tere Qur'an ko seenon se lagaya hum ne. Phir bhi hum se yeh gila hai, ke wafadar nahin, Hum wafadar nahin, tu bhi tau dildar nahin! Ummatein aur bhi hain, in mein....

This is great shayari poet by munnawar rana. In his voice the pain you feel never seen before this
Start 60 days free trial
99,00 kr. / month after trial.Cancel anytime.
Exclusive podcasts
Ad free
Non-Podimo podcasts
Audiobooks
20 hours / month