
Echoing A Shadow
Podcast von Soniya Kanchan
Nimm diesen Podcast mit

Mehr als 1 Million Hörer*innen
Du wirst Podimo lieben und damit bist du nicht allein
Mit 4,7 Sternen im App Store bewertet
Alle Folgen
10 Folgen
Chalo aaj kuch kahaniya bunnte hai Alfaaz hai, ehsaas hai Phir Uss mulaakat mein bhi kuch baat hai Har zikar mein ek raaz Woh kal bhi mera aaj hai Sach ki toh sirf yeh siyahi hi ek gawaah hai Kya yeh iss jaam ka kamal hai? Aaj bas unn kahaniyo k naam hai.

Yeh raat ka sama hai Jo tujh se juda hai Khamoshi hai magar Tere mere beech ki Woh baatien sunai de rahi Na bhule hai hum tujhe Na bhula yeh raasta hai Sheher hai yeh tera Par mujhe pukar raha Tu jo nhi Phir woh baat kahan Raahien Wahi sahi Jaam toh naya hai Na bhule hai hum tujhe Na bhula sama hai

Rahat kahan, chahat kahan Dil mein dhakan hai magar ibadat kahan Zinda hai lekin jeete nahi Sochte hai lekin karte nahi Woh junoon kahan, woh sukoon kahan Jasbaat hai magar woh jazbaa kahan

Shaam se thodi Zara guftagu kr lijiye Apne ishq ka kya pata Woh raaz khol de Unn khatto ka woh Izhaar kr de Boli thi hume Har roz likhti rahi Uss ikraar mein Kabhi peeli hui Kabhi gulabi hui Har rang se hume Lubhati rhi Uske dard pe bhi zara Gaur farmaiye Milke bhi woh usse Mil na saki Woh dhal si gayi Aur woh theher na saka Boli thi hume Har din ki ek nayi shaam hai Ek naya izhaar hai Ek naya inkaar hai

Kya kahe Kya na kahe Iss soch mein hi reh gaye Jo lavz thee zabaan mein Woh muskurahaton mein kho gaye Sheher bhi jo tham gaya Unn palon mein kuch toh baat thi Raakh ban k reh gayi Dil mein woh jo bhi aag thi Kya kahe Kya na kahe Hosh bhi raha nahi Toh ab Kaagazo mein kaid ki Zakhm se likhi hui Taqdeer ki yeh shayari